Wednesday, March 25, 2009

ye soch kar....

Kehta hai dil…….ye soch kar
chahu tujhe main ab yunhi
reh reh kar
kuch samajh na aaye
kuch keh na paun
ab jee na paun
shayad mar hi jaun

baware naina .....neer khatm hue ab
ab bas kar....aansu na baha ab
ehsaas jo jaage is dil mein
ab seh na paun
kehta hai mann ....ye soch kar
woh tera nahin
ab bas sabr na kar...
kehta hai dil...ye soch kar

Thursday, March 19, 2009

Ae hawaon...

ae hawaon tum sawaar do meri bigdi
yun na ruswa hone paye meri umeed 
saajan keh gaye aayenge woh ek din
ab tak taakun us chaukhat  har us dwaar ko main

ae neer tum sawaar do meri bigdi
mann mora kare jatan 
aur hum hue laachar
kaise bataon kahaan hui hai cubhan
kaise karun izhaar

ae saawan ab ghutne bhi tek chuki hoon
aur imtihaan na lo humara 
jo kahin iss baar toot jaon
toh fir jud na paon kabhi

kuch hi hain sapne kar lele do unhe pura mujhe
ab bas aur na dekhungi inhe
mehenge ho chale hain ye bhi
ab bas aur khareed na sakhungi

Monday, February 9, 2009

piya tose.....

Piya tose kaise kahun, kahein bheegi mori ankhiyan..

Kuch sard anhein kuch ankahein baatein

Kabhi gumsum si kabhi sumsum hi sahi

Aa jao ki ab beete na bitaye ye kali raatiyaan

Is anjuman ki khushi in ansuan ki mehak

Lalcha jaaye mohe,

Teri aane ki aahat tere chune ki aadat

Humare royin khadi kar jayein.

Piya tose kaise kahein. Kahein bheegi mori ankhiyan

Niharte khade hain us dar ko

Jahaan se kabhi tum guzra karte the

Ab na koi aaya , na hum jaa paye kahin….

Piya tose kaise kahein, kahein bheegi mori ankhiyan…

Yun kuch un ungliyoon ka humare gesuyon ko sawaarna..

Yun kuch humara sharmana aur phir zidd kar usse dohrana..

Sach ko jhootlana…jhooth ko apnana…

Adaon se tumhe behlana, koshish kar tumhe kuch bas kuch aur der rok paana

Piya tose kaise kahein, kahein bheegi mori ankhiyan.

Tasveeron ka yun kuch keh jaana

Humara in sirlvaton mein simat kar mehsoos karna

Kuch kehna, aur phir unhi sabdon ko sunne ki koshish mein jhut jaana

Daud kar khidki se jhankna….

Parchayion se chitr bana kar khud ko yakeen karana

Neend se jhagna, sote hue sapnon mein niharna

Yaad aa rahi hai….kaise kahein tose

Ab aa jao….bas aa jao ab...

Piya tose kaise kahein, kahein bheegi mori ankhiyan….

Friday, August 29, 2008

rulata hai...

rulata hai tera ehsaas kuch iss kadar mujhe
pyaase ho chale hain mere ankhiyan ki moti
tujh par hasun ya apni kismat par
ab toh har fasana bemaane ho chuka is waqt ki kasauti par
raaston par chalna ab yun mushkil safar ho chala hai
manzilon ke nishaan kuch khauf se bayaan karne lage hain
ummed ki thi humne us parwardigaar se
kuch sapne toh saste chod deta hamari khatir

Friday, June 27, 2008

tere bina

Tere bina jiya jaye na….
Yaad tumhari jo itna mujhe tadpaye
Kasam se yuun piya jaan le jaye
Kitna intzaar karun, kitna aitbaar karun
Kuch bhi saha jaye na
Oh piya, tere bina jiya jaye na
En nainon ki annsuan mein bhi tumhara hi chehra
Darpan jaisa
En nainon ki anjuman mein ho in ankhiyaan ka ho har savera
Chilman jaisa
Taras tadap ki antim pyale
Aaj jo do boond mill jaye
Fir toh bas kya kehna
Tere bina jiya jaye na…

Wednesday, June 4, 2008

khaamoshiyaan

khaamoshiyaan aksar kuch keh jaati hai..
kuch lamhe aksar sadiyan ji jaate hain..
jodkar in lamho ko hi banti hai zindagi..
chand labzo ko jodkar,
inn lamho ki dastaan nahi likhi jaati ...

koshish kuch aisi hi aaj kar baithe hain hum..
utha li hai kalam,
par labz bhool baithe hai hum ..
koi dikha de is ghumraah ko, raaah koi ..
koi ishara, kuch lamhe ya kuch khamoshiyan hi sahi ...

Umeed

umeed har nayi subah ki raah dikhlaati hai..
umeed na ho, toh kya jeene ki chaah bhi reh pati hai ??
umeed hi toh hai, jo le aayi hai hume yahan tak..
aur wohi hai jo le jayegi hume aasmaaa tak ...