Monday, September 10, 2007

Main!!!....

iss ajnabi si duniya mein ek khwaab si ban chuki hoon main
hazaroon hain jawaab par khud ek sawaal si ban chuki hoon main
dil se poochoge toh dard ka selaab si ban chuki hoon main
hasi ko dekhoge toh ansooyoon kii khaass si ban chuki main

kadam saath chod dein toh raastoon ka khitaab ban chuki hoon main
paas aana chaho agar toh duriyoon kii pyaas ban chuki hoon main
khud ko dhundne kii aarzoo main zindagi ka khwaab ban chuki hoon main
aasmaan vishaal hai magar prithvi main aamm ban chuki hoon main

log toh hain bas sukh ke saathi dukh mein akeli aur gumnaam ban chuki hoon main
parchayeoonn se mulaqaat hoo jaati hai aksar par khud ki awaaz se anjaan ban chuki hoon main
kaash kii kuch soch samaj pati par mein albeli uss ek samaj se bhi khafa si hoo chuki hoon main

Sunday, September 9, 2007

Dard!!!....

dard ko diya hai humne bhi ek mauka
zindagi ko di hai humne ek kahaani

haar manange nahi itni jaldi hum bhi
chaho toh lelo har khoon ka katra
chaho toh lelo har jism se paani

pyaasa mausam pyaasi rooh
pyaasi hai aaj mere har lafz ki jubaani
kasam se keh doongi ee khuda
tu bhi chahe toh kar le manmani

haar manange nahi itni jaldi hum bhi
chaho toh lelo har khoon ka katra
chaho toh lelo har jism se paani

mulaqaat kar chuke hain hum har uss saksh se
jisne nahi ki kabhi koi humpar maherbani
dushmano par jyaada baroosa ab karne lage hain hum
doston ne ki hai ruswa is kadar zindagani

pyaar kya cheez hai bhala
hoo jaye agar toh aafat hii hai bani
nafrat ki toh baat hi ajab hai saath chodti nahi kambakhat beyimaani

gussa aata hai toh bhi shabd kam pad jaate hain aksar
aansoyoon se bhi bheeg teh nahi meri kitaab ke panne magar
kahoon kisse mein aapne dil kii daastaan
jab jubaan hi maan chuki hai humko begaani

haar manenge nahi itni jaldi hum bhi
chaho toh lelo har khoon ka katra
chaho toh lelo har jism se pani

kasoor kiska hai kya jaane hum
khamiyaza toh bhugat rahe hain hum bhi iss kadar
shuru ki thi kisne ye bedard gazal ruhani
guzar ti nahi ye zaalim humari zindagani

haar manenge nahi itni jaldi hum bhi
chaho toh lelo har khoon ka katra
chaho toh lelo har jism se pani

kuch hum..

kuch hum bhi kehna chahte hain
kuch woh bhi sunn na chahte hain
raaz, raaz nahi rehte
jab woh zubaan par aate hain

khamosh chahe yeh lab rahe
dhadkane toh tez rahi
zubaaan nahi keh sakii
par aankhen toh khaamosh nahi