Thursday, March 26, 2015

Main hoon ki nahi!

Tere hisaabo mein main hoon ki nahi
Jeb khaali par khayalon mein hoon ki nahi
Rooh ka safar hai dost, zindagi ka ganit nahi
Kam ya thoda zyaada, tere ehsaason mein hoon ki nahi?

Author - Unknown

Wednesday, March 25, 2015

Mausam!

Tum mausam kii tareh badal rahe ho,
Aur main faaslon ki tarah barbaad ho raha hoon...

Author - Unknown

Tuesday, March 24, 2015

Khauf-e-izhaar!

Khauf-e-izhaar ke chalte jahaan har suroor se doori banaa rakhhi hai usne.
Suna hai aashiq uska aaj bhi roz peeta hai..

Author - Unknown