Friday, August 29, 2008

rulata hai...

rulata hai tera ehsaas kuch iss kadar mujhe
pyaase ho chale hain mere ankhiyan ki moti
tujh par hasun ya apni kismat par
ab toh har fasana bemaane ho chuka is waqt ki kasauti par
raaston par chalna ab yun mushkil safar ho chala hai
manzilon ke nishaan kuch khauf se bayaan karne lage hain
ummed ki thi humne us parwardigaar se
kuch sapne toh saste chod deta hamari khatir

Friday, June 27, 2008

tere bina

Tere bina jiya jaye na….
Yaad tumhari jo itna mujhe tadpaye
Kasam se yuun piya jaan le jaye
Kitna intzaar karun, kitna aitbaar karun
Kuch bhi saha jaye na
Oh piya, tere bina jiya jaye na
En nainon ki annsuan mein bhi tumhara hi chehra
Darpan jaisa
En nainon ki anjuman mein ho in ankhiyaan ka ho har savera
Chilman jaisa
Taras tadap ki antim pyale
Aaj jo do boond mill jaye
Fir toh bas kya kehna
Tere bina jiya jaye na…

Wednesday, June 4, 2008

khaamoshiyaan

khaamoshiyaan aksar kuch keh jaati hai..
kuch lamhe aksar sadiyan ji jaate hain..
jodkar in lamho ko hi banti hai zindagi..
chand labzo ko jodkar,
inn lamho ki dastaan nahi likhi jaati ...

koshish kuch aisi hi aaj kar baithe hain hum..
utha li hai kalam,
par labz bhool baithe hai hum ..
koi dikha de is ghumraah ko, raaah koi ..
koi ishara, kuch lamhe ya kuch khamoshiyan hi sahi ...

Umeed

umeed har nayi subah ki raah dikhlaati hai..
umeed na ho, toh kya jeene ki chaah bhi reh pati hai ??
umeed hi toh hai, jo le aayi hai hume yahan tak..
aur wohi hai jo le jayegi hume aasmaaa tak ...

Wednesday, May 14, 2008

dil ke lahu

dil ke lahu se naam gunda rakha hai humne
apni hasratoon se bhi ziyada maqaam bana rakha hai humne
pata toh chale kaun ho tum
khuda kasam kuch yun betahasha hi masroof ho gaye hum bhi is kadar tum mein
ki aaj kaunsa farmaan jaari kiya hai zaleemo nein
iska andaja bhi zara gumnaam ho chuka hai humpar
yaadon se ruswa hokar ab tabeyat bhi jawab dene lagi hai hume
aarzoo ka kya aetbaar karen hum ab inn koshishoon se hi haar maan baithe hain
kya pata kab kiss modd par tu yunhi tehalta miljaye agar
toh fir toh bas kismat se koi sikwa na shikayat ab hogi hume

Monday, May 12, 2008

ab dard

ab dard ke chaalon ko khushi se baiyaan karna bhi aasaan ho gaya yaaron kimmat toh tab ada hogi jab khushi se ru ba ru ho payenge hum bhi kabhi...

khwaab

khwab saare mere tootne ke liye hi bune hon shayad humne
sapnon ne apni harqatoon se rulana
bhi ab toh shuru kar diya hai

khuda tu yuun bedard bekhabar kyun ho gaya hai
meri uddasi se yuuun beasar kyun ho gaya hai

fihaal toh ab ghinti karna bhi bhool jaane ko dil chahta hai
pata nahi kab kaunsa maqaam firse bikharne ki aor badd raha ho

pyaale ab pyaas bujhane se katrate hain
hum unse yuun muskuraate hue doo buondo ki aas lagaye bhaithe hue hain

tum aaj iss kadar naaraaz ho chuke
ki ab mulakaat ki koi gunjaissh hi baki na rahi
fir bhi dil se dua hi nikal rahi e sanam
har fasana tujhe hasaye aur har nagme mein basi ho teri chahat...

Wednesday, April 23, 2008

neend se jaage

neend se jaage toh raat ho gayi,
subha ki chah mein baithe
toh aakh lag gayi ...
chalna nahi tha is duniya ki tarah,
is liye bhaagte hi reh gaye ...

Tuesday, January 1, 2008

Naya Saal

aaya naya saal nayi tarange nayi umenge lekar
baaton hi baaton beeta peechla kayi sapne dubokar
par kehta hai ye dil mera
har raat ka hai ek naya savera

kuch aisi yaadein joo peeche chooth gayiin
kuch aise pal joo saath chood gaye
yaad aate hain woh din bitaye the joo saath humne
bhool payenge naa unhe chahe kisi haalat mein

ek uljhan mein hai dil humara
kaise swagat karen iss naye saal ka
bahein faela kar ya aankhein jhuka kar
mann kii toh uljhan sulajh naa payi kabhi
par khush rahenge hum bhi ye wada hai
kiya humne khudse yahin bas yahin abhi...