Monday, May 12, 2008

khwaab

khwab saare mere tootne ke liye hi bune hon shayad humne
sapnon ne apni harqatoon se rulana
bhi ab toh shuru kar diya hai

khuda tu yuun bedard bekhabar kyun ho gaya hai
meri uddasi se yuuun beasar kyun ho gaya hai

fihaal toh ab ghinti karna bhi bhool jaane ko dil chahta hai
pata nahi kab kaunsa maqaam firse bikharne ki aor badd raha ho

pyaale ab pyaas bujhane se katrate hain
hum unse yuun muskuraate hue doo buondo ki aas lagaye bhaithe hue hain

tum aaj iss kadar naaraaz ho chuke
ki ab mulakaat ki koi gunjaissh hi baki na rahi
fir bhi dil se dua hi nikal rahi e sanam
har fasana tujhe hasaye aur har nagme mein basi ho teri chahat...

No comments: