Saturday, April 21, 2007

galtiyaan

galtiyaan toh bahut ki hain sabne
aur humne bhi kuch kam nahi
par hamesha khud ko hi sahi kehte hain
jaise kisse kuch maloom nahi :)

Duurrrrr

duur mat jaa apni hi parchhayiyon se itna
ki koi tujhe dhoond na paye
parchhayi ho duur bhale hi, par paas reh itna
ki koi tujhe bhula na paye

Thursday, April 12, 2007

raaste

raaste toh bahut hai
par koi disha nahi...
bus mudhkar nahi dekhna chahte
chalna un par mushkil nahi !

Wednesday, April 11, 2007

iss andhere..

Is andhere ka koi ant nahi,

jeene ka ab mann nahi,

niraash hai yeh tanhaayein,

isme dikhta koi arth nahi..

rote rahe hain zindagi bhar...

dikh jaye raasta kab koi agar...

sochte hain chhu lenge aasmaan ko....

aankhen nahi kholi magar...

Wednesday, April 4, 2007

humme

humme hii thi na koi asie baat...yaad joo tumhe na hum aa sake......tumne hume bhula diya hai magar.........hum tumhe naa bhula sake......

jab

jab tak tha dum hum aasmaan dabate chale.....aur jab dum hii nikal gaya..........toh dab gaye apni hii zameen tale

mujhko

mujhko girna hoo agar toh khuda kare aapne hii kadmoon par giroon jaise saaya diwaar par aur diwaar par saaya gire....

roshni

suraj naa ban sake naa sahi...chirag toh ban....roshni ka kya hai....uuse toh agar meri chita se bhi aana pada toh harz na hoga..aane mein..

palkoon

palkoon ke kinaare joo humne bhigoye nahi sab sochte hain kii hum roye hii nahi....sab pochtein hain humse khwaboon mein kisse dekha karte hoo....aur hum hain kii ek umrr se soye hii nahi....

raasta

mehfillein shaam mein toh har koi rang jama leta hai.....jara meiyate bahaar mein bhi suroor le aaiye kabhi....din ke uujaloon mein toh manjilein paa hii lenge hum...jara raat ke aandheroon mein bhi raasta dikhla jaaye kabhi...

zakhm

kareeb rehne kii chah toh humne bhi kii thi magar.....na jaane kyun bas faaslein hii darmiyaan aaye....marj kii dava toh lete bhi hum....kambhakt zakhm hii na jaane kyun nazar nahi aaye.....

muhabate

muhabate ehsaas toh tab hoga ...jab nafratoon kii gehraiyoon ka andajaa hoo jaye agar....hamari ehmeeyat ka pata toh tumhe tab chalega jab tanhaiyoon se tumhari mulaqaat hoo jaye agar....

sapne

humne humare hii sapnoo kii kimaat aaknaa nahi aata .......dil kii duhaai dete rehte hain.....aur uuljhe rehte hain chehroon kii banawat mein....

Tuesday, April 3, 2007

Nahin saha ja raha mujhse

khoon ke aansun ro ke dekhe hain
kai dard jhel ke dekhe hain
har pal ghut ghut ke mara huun main
mann hi mann itna tadapa huun main

ab yehi hai ek tamanna
cut jaye dhad se sir apna
ya phir do mujhe koi chutkara
ab nahin saha ja raha yeh bojh saara

thak gaya huun main iss pagalpan se
jal raha huun main khud hi khud mein
mehsuus karna chahta huun main phir se
koi chota mota dard iss jahan mein

apne ko toh sambhala nahin ja raha tha
dusre bhi tik gaye hain ab toh
khud jal bhun jaate toh gum na tha
dusre bhi saath lag gaye hain ab toh

iss kadar hua huun main pareshan
yeh alag sa hai nasha ab mujh mein
sahyad khatam hi kar duun main saare tadap aaj
na jaane yeh kya aa gaya hai aaj mujh mein!

Dil se khela bahut ...

Iss dil se khela bahut humne
har ek ke saamne uchala humne
aaj jab dard mehsus kiya humne
dusron pe dil todne ka ilzam lagaya humne

Tere jaane ke baad ...

Tere jaane ke baad kuch iss tarah se lag rahi hai zindagi ....
phulon ke bich mein baitha huun aur banzar lag rahi hai zindagi ...
eh kaash ek phool gir jaata mere daaman mein bhi ...
usske bagair badi sunni si lag rahi hai zindagi!

zindagi

zindagi kuch iss tarah se ho gayi hai ... jina kya aur na jina kya !
khwaishein karte toh bahut hain ... pura hona kya aur na hona kya !

Kai khwaab daba rakhe hain aakhon mein ... pura hona kya, na hona kya!
Aassoon toh behte rehte hain ... unhe rokna kya aur na rokna kya!

Alfaaz bahut hain lavz pe ... unhe bolna kya aur na bolna kya!
Neend bahut hai aankhon mein ... sona kya aur na sona kya!

Rahi main dost bahut mil jayenge ... milna kya aur na milna kya!
Jab tutna hi hai dil ko ... toh sambhalna kya aur sochna kya!

Dil kuch iss tarah dukha

dil kuch iss tareh se dhukhaya tumne.......kii aansooyoon ke khatm hote hii rooh ne saath dena bhi shuru kar diya

Monday, April 2, 2007

Agar

gar unka sahara mil gaya hota ...
toh yeh zindagi kya se kya hoti ...

Ek ek pal ke liye tarase hain ...
nahin toh aaj humari fitrat kuch aur hoti !

Khair yeh dastur hai zamane ka ...
aaj main tadapa huun ... kal tu bhi tadapti hogi !

Ek mauka de ke toh dekho

Aksar saara jamana dosh iss dil ko deta hai ...
kabhi unn ladkiyon se puch ke toh dekho ...

Mana log kehte hain, dil ko toh tutna hi hota hai ...
dil tutne ka dard seh ke toh dekho...

Kehte hain ki sharab galat chij hai ...
kabhi kissi aashique se puch ke toh dekho ...

bol toh sabhi bolte hain
kabhi shayari likh ke toh dekho ...

dard sabhi ko hota hai
kabhi unke alfaaz bana ke toh dekho ...

Badsoorat jamane ko kehte hain
jara apne ghar ko khoobsurat bana ke toh dekho ...

gar main khuda ko mil paun toh puchunga
jara mujhe khuda bana ke toh dekho ...

badalna hai bahut kuch apni zindagi mein ...
yeh zindagi zi ke toh dekho ...

Koi gile sikhwe nahin hai zindagi se
bus ek baar usse chutkara dila ke toh dekho !

Koshish

kai kashish hai zindagi mein
zindagi khud ek kashish hai

bade khushnaseeb hai woh log jinke paas mohabbat hai
warna idhar zindagi hi ek koshish hai !

log kehte hai ki ek aur ho jaye
idhar har bol nikalna ek koshish hai !

chal rahi hai zindagi kuch iss tarah
har pal kaatna ek koshish hai!

doston yaron se pucho haal toh
unke aawaz mein bhi ek kashish hai

kehte hai ki main sach mein zi raha huun
unhe kya pata idhar mujh mein kya kashish hai

zi rahe hain kuch iss tarah
ki zina bhi ek koshish hai !

Suraj

suraj kii sarfarrasti se nuksaan hii hua......ab shama maangta hoon toh deta nahi hai tu.....meri aankhoon se rukte nahi hain aansoon ...jabse kuch phoolon ne pathraav kiya hai.....

PS: this post aint written by me

Khabar

tujhe kaise khabar na hoo saki......badi door tak ye khabar gayi....tere hii shahar kii shayera.....tere intzaar mein mar gayi

PS: this post aint written by me

Nazar

bas nazroon se dekh liya hota......agar tammanna thi aajmaane kii....hum behosh yuunhi hoo jate....kya jaroorat thi muskuraane kii........

Log

koshish toh koi karke dekhe..........yahhaan aksar sapne sach bhi hote hain........duniya itni buri bhi nahi....yahaan aksar log aache bhi hote hain..

Tumse milkar ...

tumse milkar tumhe bhulana mushqil hai aasaan nahi...jhukti aankhen rukti saansein...aadhoori baat kehti hain......puri baat aksar dil ke andar hii rehti hain.....inn unkahi baatoon koo samajhna mushqil hai aasaan nahi

Toh jaanu

tumhe beraagi...tyaagi...balidaani kaise maanoo.....dard ke aangaroon par kabhi tum bhi  meri tareh se jalo toh jaanu...

Yaad

yaad aayi hai uuskkii....ee sansoon jaara dheere chalo.....dhadkanoo se ebadat mein khallal padta hai..

Baat aisi

deewaron ne naa sunee
na vaadiyon mein yeh goonji
baat yeh kuch aisi hai
jo bus dil mein hi reh gayi !

Shama badhati hai...

shama badhati hai raat ka suroor aise...........pyaale bhi hoo jaate hoonge masroof jaise..........tu aa kabhi meri iss gali kii oor iss tareh se.......kii rooh jism aur jism rooh se milll gaye hoon jaise.

Diya

diya toh khamoosh hai....magar dill toh jalta hii hai....chale aao jahaan tak roshni maloom hoti hai....

PS: this post aint written by me

Halat kuch ...

halat kuch is tarah hai ki,
ek tinke ka sahara bhi paar pahuncha de
par zaalim yeh zindagi kuch is tarah hai,
ki doobne ke liye paani bhi nahi deti

Peekar gum ...

peekar ghum bhulaane wale bhi ajeeb hote hain
peekar ghum bhulaane wale bhi ajeeb hote hain
jisse yaad karke peete hain,
usse hi bhulaane ki koshish karte hain.

Aaj yeh aaina ...

aaj yeh aaina kyun hus raha hai, jab usme khushi nahi
gum chahe jitna bhi ho, par woh dukhi nahi

Kashti ko ...

kashti koo kinara milll jaye agar.........kahin kiisi ko koi sahara bhi mill jaye agar........badal daaloon apni hasti hii har saqal koo bhi.......sirf tere saath hone ka ek isshara mill jaye agar

Uss mukaam ...

us mukaam par pahunch gaya hoon
ke log kehne lage hain isse deewangi
bus khud se hi bhaag raha hoon
kuch is tarah se ho gayi hai zindagi

Shayar

yeh kala nahin ... mauke ka takaza hai ...
shayar koi hota nahin ... usse waqt banata hai !

---------------

aap kaho toh zindagi bhar idhar baith jaayen
ek mauka mil jaaye ... puri zindagi daav pe laga jayen