Tuesday, April 3, 2007

zindagi

zindagi kuch iss tarah se ho gayi hai ... jina kya aur na jina kya !
khwaishein karte toh bahut hain ... pura hona kya aur na hona kya !

Kai khwaab daba rakhe hain aakhon mein ... pura hona kya, na hona kya!
Aassoon toh behte rehte hain ... unhe rokna kya aur na rokna kya!

Alfaaz bahut hain lavz pe ... unhe bolna kya aur na bolna kya!
Neend bahut hai aankhon mein ... sona kya aur na sona kya!

Rahi main dost bahut mil jayenge ... milna kya aur na milna kya!
Jab tutna hi hai dil ko ... toh sambhalna kya aur sochna kya!

No comments: