Friday, October 23, 2009

Kuch pyaas jagi aaj phir...

kuch pyaas jagi aaj phir is sune ho chale mehkhane mein
kuch aur bhi sard si ho gayi hain sardiyan is baras...

kabhi aaye the tum in galiyon mein tehelte hue
ab bas khusboo si mehek jaati hai...

Aata nahi yakeen ab tak hume, shayad kuch khoya ho humne kya pata
Par teri yaad hi yun hai ki bhulne bhar ko bhi fursat na lene deti...

dil kehta hai...chal jee le aaj phir uski yaad mein
ek aur bas ek aur baar...hi sahi...

Wednesday, October 14, 2009

boondein

inn boondon mein pani hai,
ya fir hai yeh yaadon ki baarish ..
fir se jee lo din purane,
hai yeh mausam ki guzarish ..

Sunday, July 5, 2009

Dewaane...

dewaane ki nazron ko jahaan dekh raha hai...
ye dewaana khuda jaane kahaan dekh raha hai...

Saturday, July 4, 2009

Some shayari's

woh shakl pighli toh har shay mein dhal gayee jaise...
ajeeb baat hui hai use bhulane mein...
- Javed Akhtar

kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta,
kahin zameen toh kahin aasman nahin milta
tere jahan mein aisa nahin ke pyar na ho,
jahan umeed ho utna wahaan nahin milta...
- Nida Fazli

hazaron khwaaishein aisi ki har khwaaish pe dum nikle,
bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle...
- Ghalib

taruf(feelings) rog ho jaye toh usko bhulna behtar
taluk bojh ban jaye toh usko todna acchha
woh afsana jise anjaam tak lana na ho mumkin
usse ek khoobsurat mod dekar chodna acchha

tumhe bhi yaad nahi, aur main bhi bhool gaya
woh lamha kitna haseen tha, magar fuzool gaya
- Javed Akhtar

Sunday, June 14, 2009

Pyaar

Tuut kar pyaar karna ho toh shayad main kar bhi lun beshak...
Nibhana toh rishton ko padhta hai...

Main tumhe chahun iski koi wajah toh nahi hai mere paas...
Par nafrat kar sakun ye shayad kabool nahi aur na hi itni himmat rakhti hun...

Sunday, June 7, 2009

Some beautiful and inspiring quotes...

Mat kar apne haathon ki lakiron par itna gumaan…

Naseeb toh unka bhi hota hai jinke haath nahi hote…


Jinhe muskilein dikhti hain unhein manzilen nazar nahi aatin...

Aur jinhone manzilon par nigah tika di ho….unhe mushkilon ki parwaah nahi hoti…


Ek mazhb aisa bhi banaya jaaye

Ki insaan ko insaan bhi banaya jaaye

Tere dukh-dard ka ehsaas mujhe ho is kadar

Agar jo tu ho bhukha toh mujhse bhi niwala na khaya jaaye


Ladkhada kar hum duadne waalon ko dikhla jayenge…

Dil mein woh jazba hai..ki jis taraf mud jaayen raasta bana jayenge…


Aadmi ko aadmi banane ke liye…

Zindagi mein pyaar ki kahani chahiye…

Aur kehne ke liye is kahani ko…

Kalam ki syahi nahi balki aankhon ka paani chahiye…


Yaar mila de re rabba mera

Yaar mila de re…..

Maine tujhse kaunsi khudai maangi….

Bas yaar maanga re ….

Yaar mila de re rabba mera yaar mila de re...

PS : Not by me...:)

Saturday, May 16, 2009

Koi khaas nahi.

koi tumse puchhe kaun hoon main?
tum keh dena, koi khaas nahi...
ek dost hai koi accha, pakka sa..
ek jhooth hii, aadha sachha sa...
jazbaat ke mann pe, ek parda sa...
bas ek bahana achha sa...
jo paas hokar bhi paas nahi...
par usse chuppa koi raaz nahi...
koi tumse pucche kaun hoon main?
tum keh dena, koi khaas nahi.

PS: someone sent me this, its not written by me.

Friday, April 24, 2009

yeh samaa

yeh samaa hai kuch aise,
ho hawa mein pyaar jaise ..
dil ne ki hai dastak ..
ab yeh khumaar, hum bataaye kaise :)

tumhe yaadon mein bhi na dekha tha jaise,
saamne aayi ho tum kuch aise ..
ek chhotti si muskaan se,
laa diya ek sehlaab ho jaise ..

nazro mein izhaar toh hum kar denge,
par unn nazro ka ishara hum samjhenge kaise ..
kuch toh keh do ab
naa reh sakte hum khaamosh aise ..

Monday, April 13, 2009

tukdon...

Tukdon tukdon mein bat rahi hoon main

Tanha  si ho chuki hai har nabz meri

Kasos kar mann, uub chukin hain sansein ab toh

Bepanah muhabbat ki shikhar hui hoon main

Ehsaas kam na hua kabhi bhi us beparwah ke bartaav ka

Saahil par bait nihaar rahi hoon main

Kambakhat kuch toh meherbaan ho jaata

Unn  aanhon mein kis kadar jal rahi hoon main

Jaroor …..jaroor hi sahi……..

Us bepanah mubahhat ki shikaar hui hoon main… 

Saturday, April 11, 2009

Accha hua!!

accha hi hua jo mere sapne pure na hone paye
armano ne khud ba khud hi dam tod diya hoga shayad kahin kisi mod par...
ab sochti hoon toh lagta hai theek hi hua...jo tuut gaye khwaab saare...
dum ghutne ko hi toh zindagi nahi kehte na shayad.....

Wednesday, March 25, 2009

ye soch kar....

Kehta hai dil…….ye soch kar
chahu tujhe main ab yunhi
reh reh kar
kuch samajh na aaye
kuch keh na paun
ab jee na paun
shayad mar hi jaun

baware naina .....neer khatm hue ab
ab bas kar....aansu na baha ab
ehsaas jo jaage is dil mein
ab seh na paun
kehta hai mann ....ye soch kar
woh tera nahin
ab bas sabr na kar...
kehta hai dil...ye soch kar

Thursday, March 19, 2009

Ae hawaon...

ae hawaon tum sawaar do meri bigdi
yun na ruswa hone paye meri umeed 
saajan keh gaye aayenge woh ek din
ab tak taakun us chaukhat  har us dwaar ko main

ae neer tum sawaar do meri bigdi
mann mora kare jatan 
aur hum hue laachar
kaise bataon kahaan hui hai cubhan
kaise karun izhaar

ae saawan ab ghutne bhi tek chuki hoon
aur imtihaan na lo humara 
jo kahin iss baar toot jaon
toh fir jud na paon kabhi

kuch hi hain sapne kar lele do unhe pura mujhe
ab bas aur na dekhungi inhe
mehenge ho chale hain ye bhi
ab bas aur khareed na sakhungi

Monday, February 9, 2009

piya tose.....

Piya tose kaise kahun, kahein bheegi mori ankhiyan..

Kuch sard anhein kuch ankahein baatein

Kabhi gumsum si kabhi sumsum hi sahi

Aa jao ki ab beete na bitaye ye kali raatiyaan

Is anjuman ki khushi in ansuan ki mehak

Lalcha jaaye mohe,

Teri aane ki aahat tere chune ki aadat

Humare royin khadi kar jayein.

Piya tose kaise kahein. Kahein bheegi mori ankhiyan

Niharte khade hain us dar ko

Jahaan se kabhi tum guzra karte the

Ab na koi aaya , na hum jaa paye kahin….

Piya tose kaise kahein, kahein bheegi mori ankhiyan…

Yun kuch un ungliyoon ka humare gesuyon ko sawaarna..

Yun kuch humara sharmana aur phir zidd kar usse dohrana..

Sach ko jhootlana…jhooth ko apnana…

Adaon se tumhe behlana, koshish kar tumhe kuch bas kuch aur der rok paana

Piya tose kaise kahein, kahein bheegi mori ankhiyan.

Tasveeron ka yun kuch keh jaana

Humara in sirlvaton mein simat kar mehsoos karna

Kuch kehna, aur phir unhi sabdon ko sunne ki koshish mein jhut jaana

Daud kar khidki se jhankna….

Parchayion se chitr bana kar khud ko yakeen karana

Neend se jhagna, sote hue sapnon mein niharna

Yaad aa rahi hai….kaise kahein tose

Ab aa jao….bas aa jao ab...

Piya tose kaise kahein, kahein bheegi mori ankhiyan….