Thursday, September 17, 2015

Few Shayaris...Not mine.

Alwida Kehte Hue Jab Mene Us Shakhs Se Pucha Ke Koi Nishani To Do,
Wo Muskurate Hue Bole Judaai Hi Kafi He Agar Yaad Kar Sako To. 


Mere Nazdeek Aake Dekh Mere Ehsaas Ki Shiddat, Diwane....
Mera Ye Dil Kitna Dhadakta Hai Tera Naam Aane Par. 
Har Roshni Mehfil Mein Aana-Jana Chod Du,
Na De Iss Kadar Saja Ki Dil Lgana Chod Du...
Aye Mere Dil Ki Tamanna Tu Kaha Le Jayeghi,
Meri Manjil Maut H Isse Aage Na Jaa Payeghi.
Kisi Ko Kya Btaye Ki Kitne Majbur H Hum,
Chaha Tha Ek Tumko Aur Tumse Hi Dur H Hum.
Milne Ka Wada To, Unke Muh Se Nikal Gaya,
Puchi Jangah Jo Maine, Kaha Has Ke Khwab Me.

Tamannao Ki Mehfil To Har Koi Sajata H,
Aye Dosto.....
Lekin Puri Uski Hoti H Jo Taqdeer Lekar Aata H. 
Ae Ishq.. Dil Ki Baat Kahun To Bura To Nahin Manoge,
Badi Rahat Ke Din The Teri Pehchaan Se Pehle.



Sunday, August 9, 2015

Bashir Badr!

aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye

[azaab=trouble, difficulty]

baam-e-miinaa se maahataab utare
dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye

har rag-e-Khuu.N me.n phir charaaGaa.N ho
saamane phir wo benaqaab aaye

umr ke har waraq pe dil ko nazar
terii meher-o-wafaa ke baab aaye

kar rahaa thaa Gam-e-jahaa.N kaa hisaab
aaj tum yaad behisaab aaye

आये कुछ अब्र कुछ शराब आये
उस के बाद आये जो अज़ाब आये
बाम-ए-मिना से माहताब उतरे
दस्त-ए-साकी में आफताब आये
हर राग-ए-खून में फिर चरागाँ हो
सामने फिर वह बेनकाब आये
उम्र का हर वरक पे दिल को नज़र
तेरी मैहर-ओ-वफ़ा के बाब आये
कर रहा था गम ए जहां का हिसाब
आज तुम याद बेहिसाब आये

Dua

Ishq woh ibadat hai mere dost...
Dua ke liya haath bhi uthaya toh maang liya uski khushi
Ab chahe woh humse ho ya phir kisi aur se hi sahi...

Kamaal

jisse pata ho apne kamaal ka
usmein guroor aana lajmi hai
par meri jaan...teri adhed pan se mohabbat hui hai humme...
ab tu poora raas na aayega

Maiyyat!

Agar jo ishq hai tumko mujhse, mujhko tumse...
Nibhayi jaane waali reet bhi toh ho koi

Meri maiyat par aana zaroor mere doston...
Kya pata kuch sukoon bhari jhuriyaan dikh jaaye tumhe

Wednesday, August 5, 2015

Meera!

ऐ मीरा तू राधा न बन  सकी अगर
तोह कोई बैर न रखना
इश्क़ वह जज़्बा ही कुछ ऐसा है
न तुम बन पायी कृष्णा की
न वह बन पाये राधेश्याम। 

Sunday, May 3, 2015

Ishq!

इश्क़ नाम का मोहताज़ नहीं मेरे दोस्त
बस परवाह होती है उस आशिक़ के पहलु में जाने की हमको

Ehsaas!

एहसास महसूस करने भर के लिए तोह देता तू
ऐतबार कम्भख्त ख़त्म होने का नाम ही नहीं लेते

Lamha!

लम्हा है शब्दों में बयान न कर पाओगे
अगर जो उलझे रहे चेहरों की बनावट में

Sunday, April 12, 2015

Alfaaz!

Mujhe, tum sirf meri khaamoshiyon mein paaoge,
Aur tumne...phir alfaaz padhe!

Thursday, March 26, 2015

Main hoon ki nahi!

Tere hisaabo mein main hoon ki nahi
Jeb khaali par khayalon mein hoon ki nahi
Rooh ka safar hai dost, zindagi ka ganit nahi
Kam ya thoda zyaada, tere ehsaason mein hoon ki nahi?

Author - Unknown

Wednesday, March 25, 2015

Mausam!

Tum mausam kii tareh badal rahe ho,
Aur main faaslon ki tarah barbaad ho raha hoon...

Author - Unknown

Tuesday, March 24, 2015

Khauf-e-izhaar!

Khauf-e-izhaar ke chalte jahaan har suroor se doori banaa rakhhi hai usne.
Suna hai aashiq uska aaj bhi roz peeta hai..

Author - Unknown