Sunday, August 9, 2015

Bashir Badr!

aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye

[azaab=trouble, difficulty]

baam-e-miinaa se maahataab utare
dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye

har rag-e-Khuu.N me.n phir charaaGaa.N ho
saamane phir wo benaqaab aaye

umr ke har waraq pe dil ko nazar
terii meher-o-wafaa ke baab aaye

kar rahaa thaa Gam-e-jahaa.N kaa hisaab
aaj tum yaad behisaab aaye

आये कुछ अब्र कुछ शराब आये
उस के बाद आये जो अज़ाब आये
बाम-ए-मिना से माहताब उतरे
दस्त-ए-साकी में आफताब आये
हर राग-ए-खून में फिर चरागाँ हो
सामने फिर वह बेनकाब आये
उम्र का हर वरक पे दिल को नज़र
तेरी मैहर-ओ-वफ़ा के बाब आये
कर रहा था गम ए जहां का हिसाब
आज तुम याद बेहिसाब आये

Dua

Ishq woh ibadat hai mere dost...
Dua ke liya haath bhi uthaya toh maang liya uski khushi
Ab chahe woh humse ho ya phir kisi aur se hi sahi...

Kamaal

jisse pata ho apne kamaal ka
usmein guroor aana lajmi hai
par meri jaan...teri adhed pan se mohabbat hui hai humme...
ab tu poora raas na aayega

Maiyyat!

Agar jo ishq hai tumko mujhse, mujhko tumse...
Nibhayi jaane waali reet bhi toh ho koi

Meri maiyat par aana zaroor mere doston...
Kya pata kuch sukoon bhari jhuriyaan dikh jaaye tumhe

Wednesday, August 5, 2015

Meera!

ऐ मीरा तू राधा न बन  सकी अगर
तोह कोई बैर न रखना
इश्क़ वह जज़्बा ही कुछ ऐसा है
न तुम बन पायी कृष्णा की
न वह बन पाये राधेश्याम।