Monday, February 9, 2009

piya tose.....

Piya tose kaise kahun, kahein bheegi mori ankhiyan..

Kuch sard anhein kuch ankahein baatein

Kabhi gumsum si kabhi sumsum hi sahi

Aa jao ki ab beete na bitaye ye kali raatiyaan

Is anjuman ki khushi in ansuan ki mehak

Lalcha jaaye mohe,

Teri aane ki aahat tere chune ki aadat

Humare royin khadi kar jayein.

Piya tose kaise kahein. Kahein bheegi mori ankhiyan

Niharte khade hain us dar ko

Jahaan se kabhi tum guzra karte the

Ab na koi aaya , na hum jaa paye kahin….

Piya tose kaise kahein, kahein bheegi mori ankhiyan…

Yun kuch un ungliyoon ka humare gesuyon ko sawaarna..

Yun kuch humara sharmana aur phir zidd kar usse dohrana..

Sach ko jhootlana…jhooth ko apnana…

Adaon se tumhe behlana, koshish kar tumhe kuch bas kuch aur der rok paana

Piya tose kaise kahein, kahein bheegi mori ankhiyan.

Tasveeron ka yun kuch keh jaana

Humara in sirlvaton mein simat kar mehsoos karna

Kuch kehna, aur phir unhi sabdon ko sunne ki koshish mein jhut jaana

Daud kar khidki se jhankna….

Parchayion se chitr bana kar khud ko yakeen karana

Neend se jhagna, sote hue sapnon mein niharna

Yaad aa rahi hai….kaise kahein tose

Ab aa jao….bas aa jao ab...

Piya tose kaise kahein, kahein bheegi mori ankhiyan….

Friday, August 29, 2008

rulata hai...

rulata hai tera ehsaas kuch iss kadar mujhe
pyaase ho chale hain mere ankhiyan ki moti
tujh par hasun ya apni kismat par
ab toh har fasana bemaane ho chuka is waqt ki kasauti par
raaston par chalna ab yun mushkil safar ho chala hai
manzilon ke nishaan kuch khauf se bayaan karne lage hain
ummed ki thi humne us parwardigaar se
kuch sapne toh saste chod deta hamari khatir

Friday, June 27, 2008

tere bina

Tere bina jiya jaye na….
Yaad tumhari jo itna mujhe tadpaye
Kasam se yuun piya jaan le jaye
Kitna intzaar karun, kitna aitbaar karun
Kuch bhi saha jaye na
Oh piya, tere bina jiya jaye na
En nainon ki annsuan mein bhi tumhara hi chehra
Darpan jaisa
En nainon ki anjuman mein ho in ankhiyaan ka ho har savera
Chilman jaisa
Taras tadap ki antim pyale
Aaj jo do boond mill jaye
Fir toh bas kya kehna
Tere bina jiya jaye na…

Wednesday, June 4, 2008

khaamoshiyaan

khaamoshiyaan aksar kuch keh jaati hai..
kuch lamhe aksar sadiyan ji jaate hain..
jodkar in lamho ko hi banti hai zindagi..
chand labzo ko jodkar,
inn lamho ki dastaan nahi likhi jaati ...

koshish kuch aisi hi aaj kar baithe hain hum..
utha li hai kalam,
par labz bhool baithe hai hum ..
koi dikha de is ghumraah ko, raaah koi ..
koi ishara, kuch lamhe ya kuch khamoshiyan hi sahi ...

Umeed

umeed har nayi subah ki raah dikhlaati hai..
umeed na ho, toh kya jeene ki chaah bhi reh pati hai ??
umeed hi toh hai, jo le aayi hai hume yahan tak..
aur wohi hai jo le jayegi hume aasmaaa tak ...

Wednesday, May 14, 2008

dil ke lahu

dil ke lahu se naam gunda rakha hai humne
apni hasratoon se bhi ziyada maqaam bana rakha hai humne
pata toh chale kaun ho tum
khuda kasam kuch yun betahasha hi masroof ho gaye hum bhi is kadar tum mein
ki aaj kaunsa farmaan jaari kiya hai zaleemo nein
iska andaja bhi zara gumnaam ho chuka hai humpar
yaadon se ruswa hokar ab tabeyat bhi jawab dene lagi hai hume
aarzoo ka kya aetbaar karen hum ab inn koshishoon se hi haar maan baithe hain
kya pata kab kiss modd par tu yunhi tehalta miljaye agar
toh fir toh bas kismat se koi sikwa na shikayat ab hogi hume

Monday, May 12, 2008

ab dard

ab dard ke chaalon ko khushi se baiyaan karna bhi aasaan ho gaya yaaron kimmat toh tab ada hogi jab khushi se ru ba ru ho payenge hum bhi kabhi...