Sunday, April 12, 2015

Alfaaz!

Mujhe, tum sirf meri khaamoshiyon mein paaoge,
Aur tumne...phir alfaaz padhe!

Thursday, March 26, 2015

Main hoon ki nahi!

Tere hisaabo mein main hoon ki nahi
Jeb khaali par khayalon mein hoon ki nahi
Rooh ka safar hai dost, zindagi ka ganit nahi
Kam ya thoda zyaada, tere ehsaason mein hoon ki nahi?

Author - Unknown

Wednesday, March 25, 2015

Mausam!

Tum mausam kii tareh badal rahe ho,
Aur main faaslon ki tarah barbaad ho raha hoon...

Author - Unknown

Tuesday, March 24, 2015

Khauf-e-izhaar!

Khauf-e-izhaar ke chalte jahaan har suroor se doori banaa rakhhi hai usne.
Suna hai aashiq uska aaj bhi roz peeta hai..

Author - Unknown

Friday, May 16, 2014

Ek baar!

एक बार तो यूँ होता थोड़ा सा सुकून होता
न सर पे कफ़न होती न माथे पर जूनून होता

Thursday, April 17, 2014

Kabir Dohe!

शब्द बराबर धन नहीं, जो कोई जाने बोल |
                                                           हीरा तो दामो मिले, शब्द मोल न टोल |

Monday, November 11, 2013

Bewajah

Bevajah buland makaam, shayaron ne kar dia...
Mohabbat ki toh bas baatein bahut huin