Tuesday, April 3, 2007

Nahin saha ja raha mujhse

khoon ke aansun ro ke dekhe hain
kai dard jhel ke dekhe hain
har pal ghut ghut ke mara huun main
mann hi mann itna tadapa huun main

ab yehi hai ek tamanna
cut jaye dhad se sir apna
ya phir do mujhe koi chutkara
ab nahin saha ja raha yeh bojh saara

thak gaya huun main iss pagalpan se
jal raha huun main khud hi khud mein
mehsuus karna chahta huun main phir se
koi chota mota dard iss jahan mein

apne ko toh sambhala nahin ja raha tha
dusre bhi tik gaye hain ab toh
khud jal bhun jaate toh gum na tha
dusre bhi saath lag gaye hain ab toh

iss kadar hua huun main pareshan
yeh alag sa hai nasha ab mujh mein
sahyad khatam hi kar duun main saare tadap aaj
na jaane yeh kya aa gaya hai aaj mujh mein!

2 comments:

Nick Mahilani said...

oye, control yaar !

Rakesh Yadav said...

hehe ... ab chalu kar hi diya toh socha ... :D